Waise to Himachal Travelling ke liye kafi famous hai. Jab bhi hum agar India mein travel karne ka plan banate hain. Toh sabse pehle name ata hai Himachal ka.
Himachal Mein ghumne ke liye bahut se place hain. Jaha par ap apne holidays ko khushnuma bana sakte hain.
Waise agar bat ki jaye Himachali khane ki toh wo bhi kafi famous hai. Kha kar Himachal mein Kangri Dham kafi famous hai.
Humne kai bar suna hai ki agar Himachal ghumne jao to Himachal ki Dham bhi jarur kha kar ana . agar ap Himachal travel karne aye hain aur agar apne himachali dham ka luft nahi uthaya to kuch kami reh jayegi apki travelling mein. esliye koshish kare ki agar yaha ghumne aye to toh himachali dham ka majah bhi jarur le kar he jaye.
Himachali dham khas moko par banayi jati hai. aur ye himachal ka traditional food hai. Dham celebrate ki jati hai kuch khas moko par, jaise ki Shadi, Mundan, Retirement, ya koi bhi acha kam karna ho toh dham celebrate ki jati hai.
Dham ko serve kiya jata hai pattals mein. jo ki patton ke bane hote hain.
Dham jiske ghar par hoti hai wo apne sab rishtedaro aur pure village ko invite karte hain apne ghar par dham khane ke liye.
Dham banane wale jo hote hain wo main pandit hote hain jo dham ready karte hain. aur jaha dham banayi jati hai usse kangri language mein teen bolte hain. matlab jammen mein gadha khod kar uske ache se lipayi karke fir whan par nich aag jala kar upar dham banane wale bartan rakh diye jate hain. jisme sabjiyan banayi jati hain.
Himachali dham mein jo main dishes hoti hain wo hain.
Madra
Mukand Bari
Mutter Paneer
Chane ki Daal
Kadhi
Chuare ka Raita
Maah Ki Daal
Khatta - Kale Chane Ka
Mitha Bhatt
En sabhi ka name sun kar muh mein pani ajata hai. Aur aye bhi kyun na. ye hain hi itni tasty ki har koi eska swad ka maja lena chahta hai.
Toh agar ap Himachal gaye hain ya fir Himachal ghumne ka plan bana rahe hain. Toh Himachali Dham ka taste jarur chakh kar aye.
No comments:
Post a Comment